Pi Network Kya Hai ?

0
Pi Network Kya Hai ?
Pi Network Kya Hai ?
Ad

Assalamu alaikum friends aaj ke is article mein Ham aapko bataenge PI Network kya hai aur pi network ko join karne ka kya fayda hai hai aur iske sath hi pi network kab launch hua ETC
So hi guys this is Waseem so let’s go to WaseemTech1 latest Technique

Table of Contents

Ad

Pi Network kya hai?

Pi network ek cryptocurrency Hai jaise ke bitcoin cryptocurrency hai is tarah Se bahut sari cryptocurrencies is duniya mein maujud Hain internet per cryptocurrency wo currency hoti Hai jisko koi bhi hath se physically chhu nahin sakta
aur yah internet per khareed o frokht karne ke liye istemal ki jaati Hai cryptocurrency ki verification karna buhat mushkil hoti Hai jaisa ke sabse jyada mushkil Bitcoin cryptocurrency ki verification karna hoti hai Bitcoin ki transaction ko verify karna impossible bhi Mana jata hai kyunki Bitcoin bhi ek cryptocurrency Hai Uske jaisi bahut si cryptocurrencies duniya mein launch ho rahi hai jaise ke Pi Network hai Isi tarah aur bhi bahut Sari cryptocurrencies duniya mein maujud Hain jinka agar Naam liya jaaye to is article ki length bahut jyada ho sakti hai aur ham user ka bhi khyal rakhte Hain ki unko boring content Na Diya jaaye

Pi network kab launch hua ?

2019 March mein ye Pi Network launch hua Tha lekin abhi tak is Pi Network ki currency ko introduce nahin kiya gaya hai abhi tak to Pi Network ki janib se yahi khabar a rahi hai ki aap log jitna ho sake Pi network ko join Karen aur Pi Network ke andar referral system bhi maujud hai agar aap apne referral link Se kisi ko join karvate Hain To us se kuchh Pi generate hoti hain unse user ko kuchh Pi jyada mil jaati Hai aur jo Pi Network ko join karta hai usko bhi wo hi lalach Diya jata Hai

ki Pi Network ko join karo aur apni Pi generate karo jab Pi network ki currency introduce karvay jayegi to iska kuchh idea nahin ke Pi Network ki ek Pi ka kitna rate ho sakta hai
jaise ke bitcoin jab new currency thi To Bitcoin ki price 0 rupees thi jaisa ke ab dekha jaaye to Bitcoin lakhon karodon ki price mein sell ho raha hai


Isi tarah ye cryptocurrencies kam karte Hain jab koi bhi new cryptocurrency aati hai to uski demand market mein zero hoti hai aur uske bad jaise jaise wo currency increase hoti hai theek usi tarah Se uska rate increase hota Hai

tu abhi Pi network ko join Karne wale sabhi log free mein Pi Network ko join karke usmein se free mein Pi generate kar sakte hain aur jab is ki currency market mein launch hogi to is ka jitna bhi rate hoga jitni bhi is currency ki price hogi us hisab se aapki pi sale hongi


aur aapko Uske paise milenge for example 1 pipe ka rate $100 bhi hua To Agar aapke pass 5 Pi Hai to aapka 500 dollar Ban jaega aisa Hi kuchh seen Hai ki Pi Network apne user ko bahut jaldi se join karva raha hai next mein ya Pi network kab launch hoga iski koi bhi khabar nahin Hai kyunki 2019 March Se lekar abhi tak yah launch nahin hua hai

abhi 2021 ja raha hai to iske launch hone ka kuchh idea nahin Hai kisi ne bhi is Pi Network ko launch karne ki officially update nahin Di Ha

Is se pahle aur bhi bahut sari cryptocurrencies ai thi lekin wo apna Paisa Kama ke logon ke sath scam karke side per Ho Gai
Lekin unko Koi pakad nahin paya ab baat yah aati hai ki users sochta hai ki Pi Network agar free hai to Ham isko join kar lain to kya nuksan hai
Tu Yahan per main WaseemTech1 ke family ko yah mashwara Dena chahta hun ki aap log Pi Network ko join kar sakte ho free mein hota Hai sab kuchh free hai

lekin apne waqt ka bhi khyal Kiya Karen aapka waqt bahut jyada kimti hai Agar aapke pass free time hai aap kuch nahin kar pa rahe ho apna time khel mein Hi guzar Rahe Ho To fir aap Pi Network ko join kar sakte hain kyunki ismein ek tarah ka risk hai

kuchh pata nahin ki yah Pi Network apni currency ko launch karega ya nahin Agar apni currency ko launch karta Hai To fir aap ki lottery lag sakti hai agar Pi Network scam kar jata Hai To fir bhai aapka time waste ho jaega yahan per kuchh bhi karne se pahle apne time ka khyal lazmi Kiya Karen

Pi Network Ke Sath Security Issues Kya Ho Sakti Hain ?

Abhi kuchh din pahle yah khabar leak hui thi ke Pi Network aap ki main applications mein se apka personal deta bhi collect kar rahe hain
Aur iske alava aapki wo applications jaisa ke Bitcoin blockchain Bitsdak etc is tarah Ke applications jis mein aapane login Kiya hua hai ya FIR aap mobile banking use karte hain to aapka wo data bhi collect ho sakta hai hai aur aapki cryptocurrencies ko yah apne hath mein kar sakte hain


Aur yah data collect Karne wali baat ko Pi Network ne announce nahin kiya hai ki Ham yah data le rahe hain ya FIR nahin
Ismein do baten ho sakti hain third party applications developer ki taraf se I Hui hawai baat Hai ki yah Pi network data collect karta hai lekin Pi network ne official announcement nahi kiya hai ki Ham yah data collect karte Hain, Baki aap logon ki Marzi hai agar aap is Pi Network ko join karna chahie to theek hai aapka fayda bhi ho sakta hai aur Agar join karna nahin chahte to bhi Koi itna bada issue nahin Hai

Last Word

So Fraind Pi Network se related aapko full detail mein guide kya hai agar aapko Koi kisi vajah Se problem hoti hai to aap humse bhi contact kar sakte hain hamare contact form mein jakar aur yah Pi Network bilkul free hai aap isko playstore mein Pi Network likhkar search karke isko download kar sakte hain ya FIR download button per click karke download bhi kar sakte hain
Agar aapko hamara yah article helpful sabit hua to please isko share Karen aur Agar ab bhi aapka koi question hai Pi network kya hai is se related to niche comment Karen Ham aapka reply jarur karenge
I hope you like this my article thank you

Ad

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here